RoohVibe – Dil Se Likhi Har Kahani

Main likhta hoon kyunki kuch baatein sirf dil samajhta hai

5.What is Love in a Relationship? Tere Khwaab Mein Khilte Gul – Jazbaat Jo Rooh Tak Chhoo Jaaye

What is love in a relationship? Kabhi socha hai? Kya yeh sirf ek feeling hai ya poore wajood ka ek hissa? Jab pyaar alfaazon se pare chala jaaye, aur khwaabon mein jeene lage, tab samajh aata hai ki rishton mein pyaar kya hota hai. Yeh kavita, “Tere Khwaab Mein Khilte Gul, usi roohani connection ki misaal hai – ek aisi duniya jahan sirf jazbaat bolte hain.

🖋️ 1. Poem: Tere Khwaab Mein Khilte Gul

Dekha ek khwaab… toh khud se door ho gaya,
Main lafzon mein tha, par rooh se choor ho gaya

Pyaar tab hota hai jab khud se zyada kisi aur ki soch mein jeene lagein. Jab khwaab bhi itne sacche lagne lagein ki apni haqeeqat lagne lagein.


💫 2. Chehra Jo Noor Ban Gaya

Tere chehre ka noor kuch aisa tha,
Ke andhera bhi uss roshni mein hoor ho gaya

Woh noor jo andheron ko bhi roshan kar de, wahi toh sachcha pyaar hota hai. Jahan bas ek muskaan mein poori zindagi ki roshni ho.


🌊 3. Khayalon Mein Basi Tu

Tu baithi thi khayalon ke kinare pe kahin,
Main likhta gaya, aur jazbaat behte rahe wahiin

Khayalon mein rehna bhi ek tarah ka milna hota hai, jahan jazbaat behte hain aur dil ki baat har lafz mein ghul jaati hai.


🌙 4. Aankhon Mein Chandni

An emotional moment captured through poetry and candlelight, reflecting what is love in a relationship.
Moombatti ki lau mein likhi thi baat, Khidki se aayi hawa ne chhoo li raat.
Gulaabon ke saath udta tha khwab, Khula tha dil, aur khuli thi baat.

Teri aankhon mein tha chand ka narm sa saya,
Jo dekhe, usse har gham ka marham dikhaya

Aisi aankhein jahan chand ka saaya ho, wahan dard bhi apni shifa pa jaate hain. True love wahi hota hai jahan aankhon mein tasalli ho.


🌹 5. Muskaan Ka Raaz

Teri hansi, ek phool sa mehka hua raaz,
Har muskurahat mein chhupa koi khaas sa alfaaz

Uski muskaan mein chhupi baatein, jaise khud se zyada uske dil ko mehsoos kar paana — yahi toh asli pyaar hota hai Kahi na kahi Shyd yahi hai – what is love in a relationship


☁️ 6. Baadalon Ka Rang

Tere baalon ki lehron mein baadalon ka rang tha,
Jaise kudrat ne bhi tujhmein apna dhang tha

Pyaar tab aur bhi khubsurat lagta hai jab wo kudrat se bhi zyada khoobsurat ho jaaye. Uske hone mein khuda ki soorat nazar aaye Shyd yahi hai – what is love in a relationship


🌬️ 7. Naam Se Chali Hawa

Tere naam se chalti hai ab bhi yeh hawaayein,
Har kona tujhmein milta hai, har raah bataayein

Jab har raah usi ki yaadon se ho kar guzarti ho, tab samajh lo ki tumhara har lamha usi ka hissa ban gaya hai Shyd yahi hai – what is love in a relationship

💔 8. Bichhadna – Ek Rishta Tootna

Tujhse milkar laga… jaise sab kuch mil gaya ho,
Aur bichhadkar… jaise khud se rishta hil gaya ho.
Ab har subah tere naam se likhta hoon,
Aur har raat tujhe soch kar jeeta hoon.

True love tabhi samajh aata hai jab uska na hona dil ko hila de. Jab uski judai mein apna wajood bhi adhoora lage, aur har pal mein bas uski yaadon se jeena padta ho. Shyd yahi hai – what is love in a relationship

🕯️ 9. Alfaaz Bhi Rote Hain

Main shayar hoon, lekin alfaaz bhi ro padte hain,
Jab teri yaadon ke safar mein kho jaate hain

Jab shayar ke alfaaz bhi dard mehsoos karne lagein, toh samajh lo ki yaadein sirf yaadein nahi, ek zinda jazba hain shyd yahi hai – what is love in a relationship.


🌼 10. Khwabon Mein Khilte Gul

Tere khwaab mein hi ab phool khilte hain,
Mere dil ke panne tujhi se silsile likhte hain

Ab khwaab hi jeene ki wajah ban gaye hain. Uske khayalon mein hi har din likhne layak ban jaata hai.

💞 Conclusion: What is Love in a Relationship? – Jab Khwaab Hi Zindagi Ban Jaaye

What is love in a relationship? Jab kisi ke hone ya na hone se tumhari saari duniya badal jaaye. Jab ek muskaan mein sukoon ho, aur ek khwaab mein poori zindagi. Jab lafzon ka matlab sirf uske naam se ho — tab samajh lena, pyaar rooh se rooh ka safar hai.


🎯 Final Rhyming Lines:

Tere khwaabon mein jeena, ek silsila ban gaya,
Har dard tera, ab mera naya fasana ban gaya.

Tu door hai, par dil ke paas har ghadi,
Yehhi toh pyaar hai – bin kahe sab keh gayi zindagi.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *