RoohVibe – Dil Se Likhi Har Kahani

Main likhta hoon kyunki kuch baatein sirf dil samajhta hai

1. Heart-Touching Sacchi Kahani: Pyaar Jo Dikhaya Nahi, Bas Har Mod Pe Nibhaaya

Woh Ladki – Jo Sirf Mera Dil Samajhta Hai

Jab pyaar lafzon se nahi, jazbaat se bayaan hota hai

Har kisi ki zindagi mein ek aisi ladki ya ladka hota hai, jise hum bas “dost” kehte hain, par dil usse kuch aur kehta hai. Shayad uss rishtay ka naam nahi hota, par uss rishte mein pyaar ki gehraayi hoti hai. Aaj ka yeh blog uss ladki ke naam, jo sirf mere dil ko samajh paayi… ya shayad main hi usse samajh paaya hoon.

Yeh blog ek poem ke roop mein hai—ek shayari bhari dastaan—jo dard, khamoshi, wafadari aur sabse important… pyaar se juda hai.

💔 Us Ladki Ki Kahaani – Ek Chhupi Si Taqleef

Zindagi mein kuch log muskurate hain, par andar se toote hote hain. Unki hansi ke peeche kuch toofan chhupte hain. Aise hi ek ladki meri zindagi mein thi—jo kabhi tooti nahi, par sab kuch seh gayi thi.

Udaasi bhari ek ladki jiske chehre par muskaan hai, par aankhon mein chhupa dard bhi hai – pyaar ki kahani ka ek pal.
“Kahan jayenge hum tujhe chhodkar…
Tere bina raat nahi guzarti, zindagi kya guzregi…”

“Wo Ladki Jo Kabhi Tooti Nahi” – Original Poem

Pyaar Pyaar

Wo ladki, meri dost hai, par kuch keh nahi paati,
Muskaan ke peechhe chhupi kahaani purani,
Past mein mila tha usse dhoka,
Par usne na diya kisi ko shikayat ka moka

Chup-chap dard shehkar khadi rahi akeli,
Apni mehnat se chhoti si duniya mein roshni jali.
Sanskaaron ki misal hai, dil hai saaf,
Uski parvarish ka rang hai, imaandari ka lafz.

Jab Insta Ki Tasveeron Ne Dil Ki Kahaani Sunayi

Aaj ke digital daur mein hum kisi ke Insta handle se unke chehre padte hain. Main bhi uske reels aur tasveeron se uske dard ko mehsoos kar saka.

Maine Insta khola, dekhe uske kuch videos, kuch tasveerein,
Har frame mein mehsoos hua—woh muskaan bhi hai ek taveerein.
Gussa karti hai kabhi, fir khud hi pighal jaati,
Mujhse samajhdar hai, yeh baat khud mein chhupa jaati hai

Mujhe bolna nahi aata, par nibhaane mein kabhi peeche nahi hatta.
Bharosa uska toot gaya tha, kyunki pehle dhoka mila tha.
Aur theek bhi hai, jisko mile ho zakhm itne gehre,
Woh kaise phir se kisi pe bharosa kare?

Shayad Yeh Hi Hai Pyaar… Jo Bas Mehsoos Kiya Jaata Hai

Pyaar sirf kehna nahi hota… woh har nazar, har khamoshi mein chhupa hota hai.

Galti uski nahi, yeh toh duniya hi zaalim hai,
Par uska dil, uski niyat, sab kuch toh saaf hai.
Suit-salwar mein aati hai, jaise chand ka noor,
Keh nahi paata uske samne kuch bhi, par har baar ho jaata hoon majboor.

Ek Pal Jisne Sab Kuch Badal Diya

Aur ek pal aaya tha, jab woh ro padi thi,
Ek raaz saaya ban gaya meri yaadon ki galiyon mein.
Rote hue usne keh diya tha kuch,
Jo meri rooh tak kaamp uthi sunte hi us pal mein.
Usne kaha—“kasam hai, kisi se kehna mat,”
Aur main tab se us baat ka vaasta liye zinda hoon chhupke se bas. Uski woh baat, jismein ek case ki parchai thi,
Jisne uske dil ko bojhal, aur meri zubaan ko khaamosh kar diya tha.
Main kuch kar nahi paaya, par har dua mein bas uska naam aaya.

Pyaar Jo Samajhne Mein Hi Jeevan Beet Gaya

Shayad meri hi galti thi, jo har ‘naa’ mein bhi ‘haan’ dhundhta raha,
Woh kehti rahi door raho, main dil se paas banta raha.
Hum unse keh na paaye hale dil kabhi,
Aur woh samjhe hi nahi yeh betabi kya cheez hai.
Par ab samjha hoon—
Zarurat se zyada pyaar dikhaane se log door ho jaate hain,
Waqt se pehle kisi ke liye available hone se log samajhna chhod jaate hain.

Woh Sona Jise Duniya Ne Kachra Samjha

Phir bhi woh ladki paison ki bhookhi nahi,
Dil se sochti hai, pyaar mein jhoot bolti nahi.
Agar apnaaye kisi ko, toh jaan bhi de de,
Uske jaise log, zindagi mein baar-baar nahi milte.

Acceptance – Jab Pyaar Bas Khamoshi Ban Jaata Hai

Jo kuch bhi samajh paaya hoon uske baare mein,
Wo meri soch ka hissa ban chuki hai bas dheere-dheere.
Koi samjhe ya na samjhe,
Main samajh chuka hoon us ladki ko, jitna mujhe mumkin tha samajhna.

Galti uski nahi meri thi, ye ab maanne laga hoon,
Jab ek ladki door jaane bole, toh main itna chhota bhi nahi jo peeche hatoon.
Wo agar paas baithti hai, toh baat bhi kar lunga,
Ab na khushi chahiye, na gham—jaise chalayegi zindagi, waise hi chalta rahunga.

DIL KI BAAT

Sang Tumhare do ghadi beet gaye jo pal
Jal bharke mere nain mai Aaj hue ojhal
Sukh leke dukh de gyi
Do akhiya chanchal …….

Tan bhi sundar, mann bhi sundar—woh sundarta ki moorat hai.
Kisi aur ko shayad na ho, par mujhe uski bohot zarurat hai,
Pehle bhi main tarasa hoon, khuda kare ab woh na tarasaaye.
Chandan sa badan, chanchal si chitwan, dheere se uska muskuraana.
Mujhe dosh na dena jagwalo… agar main ho jaun uska deewana.

Aur aakhri dua yeh hai meri har subah-o-shaam,
Jo dard mil chuka, woh dard kabhi dobara na mile
Chahe saath rahe ya na rahe, par main hamesha uske saath hoon,
Na jataunga , na pyaar dikhaunga… par har mod pe nibhaata jaaunga.

Conclusion – Jab Har Jazbaat Sirf Ek Lafz Mein Simat Jaye: Pyaar

Pyaar kabhi loud nahi hota. Kabhi bol kar nahi hota. Shayad woh sirf mehsoos kiya jaata hai. Shayari ke beech se nikal kar, uss muskaan ke peeche chhup kar, kabhi sirf ek “seen message” mein jee leta hai. Aur kabhi… kabhi sirf ek yaad ban jaata hai—jo hamesha ke liye dil mein reh jaata hai.

Agar aapko yeh blog pasand aaya ho, ya aapke dil ne bhi kabhi aisi hi kahaani mehsoos ki ho, toh comment karke zaroor batayein.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *