RoohVibe – Dil Se Likhi Har Kahani

Main likhta hoon kyunki kuch baatein sirf dil samajhta hai

Author name: lakshyakharakwal@gmail.com

A peaceful moment symbolizing healing relationships and emotional connection
Relationship Advice

Relationship Revival: Unforgettable Stages from Maafi to Mohabbat – Tere Naam Ka Ehsaas

Ek Toota Hua Relationship Jo Dobara Juda Hone Ki Koshish Kar Raha Hai Introduction: Jab Relationship Galtiyon Se Guzarta Hai Zindagi mein sabse gehri chot tab lagti hai, jab relationship kisi galti ke karan toot jaaye. Har insaan ek aisi kahani jeeta hai jismein pyaar toh hota hai, lekin kabhi-kabhi voh pyaar kisi ek galti ke bojh tale dab jaata hai. Is blog mein hum ek aise insaan ke jazbaat aur uski poetic journey ko explore karenge, jiske dil mein sirf ek hi maqsad reh gaya hai – maafi paakar relationship dobara jeet lena. Kavita Ki Pehli Saans – Jab Galti Hui ✍️ Poem Lines: Ek lamha tha, chhoti si baat thi,Par dil mein chhupi gehri si raat thi.Haathon mein dhuaan, khayalon ka jahan,Khud se ladta, tha thoda hairaan. Yeh shabd kisi aise pal ki taraf ishara karte hain jo zindagi mein chhoti si baat lagti hai, lekin dil ke liye ek raat ban jaati hai. Relationship mein aise kai pal aate hain jahan ek chhoti si misunderstanding ek bade fasle ka sabab ban jaati hai. Galti Ka Ehsas – Jab Khamoshi Bol Uthi ✍️ Poem Lines: Us waqt bas khamoshi thi paas,Galti thi meri, na koi raaz.Tum saamne aayi, sab keh gayi,Wo ek nazar, mujhe seh gayi. Yahan se kavita ka asli roop samne aata hai – jab pyaar toh tha, lekin saath mein regret bhi. Har ek lafz mein relationship ki khamoshi boli ja rahi hai, jahan nafrat nahi, sirf guilt hai. Judaai Mein Bhi Zinda Rehta Hai Pyaar ✍️ Poem Lines: “Jaana zaroori ho toh jao,Par dil se kabhi door mat hona.Kuch rishte judai mein bhi zinda rehte hain,Bas unhe yaadon mein basaye rakhna.” Kya yeh pyaar nahi hai? Jab koi aapko jaane de, lekin dil se door na jaane de. Relationship ka asli matlab sirf saath rehna nahi, balki ek emotional connection banana hota hai jo dooriyon mein bhi zinda rahe. Jab Bharosa Toot Jaaye – Apne Se Door Hona ✍️ Poem Lines: “Mujhe ye umeed nahi thi tumse,”Aur main chup rhe gaya, bas khud se.Jo jhoot bola tha maine kabhi,Ab uski chubhan hai har subah, har shaam bhi. Galti aur jhoot – dono ek relationship ke liye zeher hote hain. Lekin jab regret sachcha ho, toh maafi ek naya mod ban sakti hai. Maafi – Ek Nayi Umeed Ka Mod ✍️ Poem Lines: Main maanta hoon, meri thi bhool,Lekin tum bin sab kuch hai fizool.Maafi chahta hoon, seedhe dil se,Agar chaho to maaf karo pyaar se. Ye lines poori kavita ka turning point hai – yahan insaan sirf relationship nahi, apna astitva maang raha hai. Har lafz maafi ki bheekh nahi, pyaar ki dua hai. Tere Naam Ka Ehsaas – Mohabbat Ka Vaasta ✍️ Poem Lines: Maine tera naam dil rakh diya,Yeh pyaar na hoga kam.Maine khud ko de diya hai tujhko,Main tera ho, tera. Yeh mohabbat ki asli shakl hai – jab koi apne ego se upar uthkar apna sab kuch de de, bina kisi shart ke. Jab Saath Chhoot Jaye – Yaadon Ka Sahara ✍️ Poem Lines: Abhi tumko meri zarurat nahi,Bahut chahne waale mil jaayenge.Abhi roop ka ek saagar ho tum,Kanwal jitne chaahogi khil jaayenge. Yeh panktiyaan is baat ka saboot hai ke sachcha pyaar possessive nahi hota. Woh chhod bhi deta hai, lekin dua kabhi nahi chhodta. Samay Ke Saath Jab Roop Badal Jaaye ✍️ Poem Lines: Darpan tumhe jab daraane lage,Jawaani bhi daaman chhodane lage,Tab tum mere paas aana priye,Mera sar jhuka hai, jhuka hai rahega – tumhare liye. Ek relationship tabhi asli hota hai jab woh sundarta nahi, balki samarpan par tikta hai. Isme unconditional pyaar aur lifetime commitment ki baat hai. Jab Galti Aakhri Sach Ban Jaaye ✍️ Poem Lines: Apni galti ki wajah se haara hoon main,Uth gaya sharam ka parda, behaal hoon main.Apna mano , to jaan bhi de dunga,Warna jeevan bhar pehchaan se inkaar kar dunga. Is confession mein ek broken lover ki cheekh hai. Jahan dil ek hi baat bolta hai – agar tum nahi toh kuch bhi nahi. Mohabbat Ki Hulchul – Shayari mai baat ✍️ Poem Lines: Ye apna pyaar hai jisne machayi hai hulchal,Nasha sharab mein hota toh nachti botal. Yahan kavita thoda humor bhi laati hai – aur dikhati hai ki yeh pyaar sirf dard nahi, jazba bhi hai. Conclusion: Jab Relationship Ko Mauka Mil Jaaye Is blog ne ek aise insaan ke dil ki baat keh di jo toot chuka hai, lekin jiska pyaar ab bhi zinda hai. Har poem line ek jazba hai – jisme maafi, intezaar, commitment, aur sabse badhkar – relationship ka asli matlab chhupa hai. Aapke rishte mein bhi agar kabhi aisi koi choti si baat ho jaaye – toh usse chhoti hi rehne dein, use zindagi mat bana lena. 💔 Dil Ki Tanhai – Shayari Mein Dard Jitni thi khushiyaa,Sab kho chuki hai,Bas ek gham hai ki jaata nahi.Samjha ke dekha,Behla ke dekha,Dil hai ki chain isko aata nahi. Aa laut ke aaja mere meet,Tere bina hai zindagi adhoori aur har khushi be-maane se lage reet.

what is love
Love Poems & Real Love Stories

1. Heart-Touching Sacchi Kahani: Pyaar Jo Dikhaya Nahi, Bas Har Mod Pe Nibhaaya

Woh Ladki – Jo Sirf Mera Dil Samajhta Hai Jab pyaar lafzon se nahi, jazbaat se bayaan hota hai Har kisi ki zindagi mein ek aisi ladki ya ladka hota hai, jise hum bas “dost” kehte hain, par dil usse kuch aur kehta hai. Shayad uss rishtay ka naam nahi hota, par uss rishte mein pyaar ki gehraayi hoti hai. Aaj ka yeh blog uss ladki ke naam, jo sirf mere dil ko samajh paayi… ya shayad main hi usse samajh paaya hoon. Yeh blog ek poem ke roop mein hai—ek shayari bhari dastaan—jo dard, khamoshi, wafadari aur sabse important… pyaar se juda hai. 💔 Us Ladki Ki Kahaani – Ek Chhupi Si Taqleef Zindagi mein kuch log muskurate hain, par andar se toote hote hain. Unki hansi ke peeche kuch toofan chhupte hain. Aise hi ek ladki meri zindagi mein thi—jo kabhi tooti nahi, par sab kuch seh gayi thi. “Wo Ladki Jo Kabhi Tooti Nahi” – Original Poem Wo ladki, meri dost hai, par kuch keh nahi paati,Muskaan ke peechhe chhupi kahaani purani,Past mein mila tha usse dhoka,Par usne na diya kisi ko shikayat ka moka Chup-chap dard shehkar khadi rahi akeli,Apni mehnat se chhoti si duniya mein roshni jali.Sanskaaron ki misal hai, dil hai saaf,Uski parvarish ka rang hai, imaandari ka lafz. Jab Insta Ki Tasveeron Ne Dil Ki Kahaani Sunayi Aaj ke digital daur mein hum kisi ke Insta handle se unke chehre padte hain. Main bhi uske reels aur tasveeron se uske dard ko mehsoos kar saka. Maine Insta khola, dekhe uske kuch videos, kuch tasveerein,Har frame mein mehsoos hua—woh muskaan bhi hai ek taveerein.Gussa karti hai kabhi, fir khud hi pighal jaati,Mujhse samajhdar hai, yeh baat khud mein chhupa jaati hai Mujhe bolna nahi aata, par nibhaane mein kabhi peeche nahi hatta.Bharosa uska toot gaya tha, kyunki pehle dhoka mila tha.Aur theek bhi hai, jisko mile ho zakhm itne gehre,Woh kaise phir se kisi pe bharosa kare? Shayad Yeh Hi Hai Pyaar… Jo Bas Mehsoos Kiya Jaata Hai Pyaar sirf kehna nahi hota… woh har nazar, har khamoshi mein chhupa hota hai. Galti uski nahi, yeh toh duniya hi zaalim hai,Par uska dil, uski niyat, sab kuch toh saaf hai.Suit-salwar mein aati hai, jaise chand ka noor,Keh nahi paata uske samne kuch bhi, par har baar ho jaata hoon majboor. Ek Pal Jisne Sab Kuch Badal Diya Aur ek pal aaya tha, jab woh ro padi thi,Ek raaz saaya ban gaya meri yaadon ki galiyon mein.Rote hue usne keh diya tha kuch,Jo meri rooh tak kaamp uthi sunte hi us pal mein.Usne kaha—“kasam hai, kisi se kehna mat,”Aur main tab se us baat ka vaasta liye zinda hoon chhupke se bas. Uski woh baat, jismein ek case ki parchai thi,Jisne uske dil ko bojhal, aur meri zubaan ko khaamosh kar diya tha.Main kuch kar nahi paaya, par har dua mein bas uska naam aaya. Pyaar Jo Samajhne Mein Hi Jeevan Beet Gaya Shayad meri hi galti thi, jo har ‘naa’ mein bhi ‘haan’ dhundhta raha,Woh kehti rahi door raho, main dil se paas banta raha.Hum unse keh na paaye hale dil kabhi,Aur woh samjhe hi nahi yeh betabi kya cheez hai.Par ab samjha hoon—Zarurat se zyada pyaar dikhaane se log door ho jaate hain,Waqt se pehle kisi ke liye available hone se log samajhna chhod jaate hain. Woh Sona Jise Duniya Ne Kachra Samjha Phir bhi woh ladki paison ki bhookhi nahi,Dil se sochti hai, pyaar mein jhoot bolti nahi.Agar apnaaye kisi ko, toh jaan bhi de de,Uske jaise log, zindagi mein baar-baar nahi milte. Acceptance – Jab Pyaar Bas Khamoshi Ban Jaata Hai Jo kuch bhi samajh paaya hoon uske baare mein,Wo meri soch ka hissa ban chuki hai bas dheere-dheere.Koi samjhe ya na samjhe,Main samajh chuka hoon us ladki ko, jitna mujhe mumkin tha samajhna. Galti uski nahi meri thi, ye ab maanne laga hoon,Jab ek ladki door jaane bole, toh main itna chhota bhi nahi jo peeche hatoon.Wo agar paas baithti hai, toh baat bhi kar lunga,Ab na khushi chahiye, na gham—jaise chalayegi zindagi, waise hi chalta rahunga. DIL KI BAAT Sang Tumhare do ghadi beet gaye jo palJal bharke mere nain mai Aaj hue ojhalSukh leke dukh de gyiDo akhiya chanchal ……. Tan bhi sundar, mann bhi sundar—woh sundarta ki moorat hai.Kisi aur ko shayad na ho, par mujhe uski bohot zarurat hai,Pehle bhi main tarasa hoon, khuda kare ab woh na tarasaaye.Chandan sa badan, chanchal si chitwan, dheere se uska muskuraana.Mujhe dosh na dena jagwalo… agar main ho jaun uska deewana. Aur aakhri dua yeh hai meri har subah-o-shaam,Jo dard mil chuka, woh dard kabhi dobara na mileChahe saath rahe ya na rahe, par main hamesha uske saath hoon,Na jataunga , na pyaar dikhaunga… par har mod pe nibhaata jaaunga. Conclusion – Jab Har Jazbaat Sirf Ek Lafz Mein Simat Jaye: Pyaar Pyaar kabhi loud nahi hota. Kabhi bol kar nahi hota. Shayad woh sirf mehsoos kiya jaata hai. Shayari ke beech se nikal kar, uss muskaan ke peeche chhup kar, kabhi sirf ek “seen message” mein jee leta hai. Aur kabhi… kabhi sirf ek yaad ban jaata hai—jo hamesha ke liye dil mein reh jaata hai. Agar aapko yeh blog pasand aaya ho, ya aapke dil ne bhi kabhi aisi hi kahaani mehsoos ki ho, toh comment karke zaroor batayein.